dekha jo marg to marna ziyan na tha fani ke badle mulk-e-baqa kuchh garan na tha shab ko baghal mein tha bhi to wo dilsitan na tha shokhi ye kah rahi thi ki yan tha wahan na tha be-wajh munh chhupane se jo tha nihan na tha par khair thi kuchh is mein ki main bad-guman na tha ye to nahin ki ab ke wo mutlaq wahan na tha lekin sawal-e-wasl ye kahne ko han na tha wo but hi kahun zamin pe jo bala-garan na tha ham-sang lekin us ka magar aasman na tha hasrat ke sadqe aankh ke malte hi khul gaya wo kuchh ki mumkinat se jis ka bayan na tha nala jo apna paya-e-tasir se gira itna subuk hua ki main itna garan na tha the bazm mein wo ghuncha-e-afsurda sharm se kyunkar kahun bahaar mein rang-e-khizan na tha kaisi haya kahan ki wafa pas-e-khalq kya han ye sahi ki aap ko aana yahan na tha sab kaam apni ek nigah par hain munhasir goya mere liye to bana aasman na tha kyun mujh pe tez ki nigah-e-qahr ki chhuri main daur-e-charkh mein koi sang-e-fasan na tha kuchh apne dil ke walwale kuchh zahidon ki zid sar phodne ko warna wahi aastan na tha aaina ko wo dekhte hain un ki shakl hum tha hum ko wo guman ki unhin wo guman na tha inkar mahz mahz ghalat mezban sahi mana ki bazm-e-ghair mein tu mehman na tha dushman harif-e-rah-e-wafa hai khuda ki shan wahan jis pe tha yaqin mujhe us ka guman na tha hairan hun hijab-e-judai utha na kyun wo naznin the main to koi na-tawan na tha ab aasman ban ke mera muddai bana thi lab pe kuchh fughan to falak ka nishan na tha tapka zamin pe gar falak-e-pir ko to kya phir ye kahenge sab ki wo kuchh naujawan na tha kuchh jazb dil mein jaan ke samjhe the un ko pas ek wahm se yaqin pe kya kuchh guman na tha gardun se aaj hai falak-e-zulm phat pada sina mein aaj hi dam-e-atish-fishan na tha husn-e-jahan-faroz se jis ja na the wo but main be-nishaniyon se jahan tha wahan na tha yun khamushi se khush ki wo taswir the magar yun baat se ba-tang ki guyyan wahan na tha bhaari hue yahan to subuk hogi zindagi wahan to nazar se hum ko girana garan na tha the be-khudi mein pas wo hosh aai to gae chuke ghazab hi hosh mein aana yahan na tha aana ye un ka subh ko meri ajal ke sath yani ki nala-e-shab-e-gham raegan na tha tha kuchh shikast-e-dil se mera imtihan-e-sabr wahan apni nazuki ka faqat imtihan na tha be-mehr yun na ho ki ye khush ho ke main kahun shayad ki tu raqib pe bhi mehrban na tha main aur roz-e-wasl-e-adu aur shab-e-firaq yahan aasman na tha ki wahan aasman na tha farhad kohkan tha ye ek halki baat hai aashiq tha be-sutun ka uthana garan na tha shab mujh se aankh malti rahi dil raqib se yahan yun sitam raha ki kisi par ayan na tha tha doston ka yar tariq aur dilon se dur kya tha jo main ghubar-e-pas-e-karwan na tha hairan hun ki dam mein tere kyunki aa gaya main warna apne dil mein kahan se kahan na tha marta hun ki kyun na raha dil mein tir-e-yar aaram-jaan tha koi aazar-jaan na tha dekha na aankh utha ke mujhe nazuki se jhut aisa to kuchh nigah ka uthana garan na tha khali dar un ka paya to dil wahm se ruka tha pasban mein aap jo wahan pasban na tha kis be-dili se hijr mein ki hum ne zindagi dil tha kahan ki yahan wo but-e-dilsitan na tha mit jaana apna us ka raha sab ke dil pe naqsh ek ye bhi tha nishan ki mera kuchh nishan na tha kuchh wahm sadd-e-rah-e-sitam tha ki waqt-e-zabh mere gulu pe khanjar-e-qatil rawan na tha 'anwar' ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil aur is pe naz ye ki ye sauda garan na tha