dekha jo saya shab mein ye samjha nigah ne shayad wo aaj aa gae wada nibahane viran si is nawah mein aata hi kaun tha aabaad kar diya hai ise qatl-gah ne un qatilon pe kaun muqadma chalaega jin ko liya panah mein aalam-panah ne har baat pe jo mujh se ye kahte hain chup raho kya apne husn ko bhi na denge sarahne qaem unhin faqiron ke dam se thi saltanat jin ko kiya hai mulk-badar sarbarah ne achchha hua sahar ne ulat di naqab-e-fikr bhatka diya tha raat mujhe wah wah ne kaghaz agar siyah karen to karen harif suraj ugae hain meri fikr-o-nigah ne