dekha kisi ne humse zamane ne kya kiya
By shaikh-zahuruddin-hatimNovember 18, 2020
dekha kisi ne hum se zamane ne kya kiya
aur kya kahen ki yar yagane ne kya kiya
dil chahta hun aur ko dun tere jaur se
kahna na phir ki hum se fulane ne kya kiya
qatil to us ka har sar-e-mu baal-pan se tha
aaraish us ki zulf ko shane ne kya kiya
dinar aur diram ki na la dil ko dam mein
qarun se hai khabar ki khazane ne kya kiya
'hatim' diya hai shaikh ne ab dil sanam ke hath
diwana main to tha ye siyane ne kya kiya

78531 viewsghazal • English