dekhe jo dil ki shoala-fishani ke hausle
By suhail-kakorviMay 27, 2021
dekhe jo dil ki shoala-fishani ke hausle
sahme hue hain us ki jawani ke hausle
dekha mujhe to phir wo achanak kahan gae
ai tegh-e-naz teri rawani ke hausle
main par kar ke nikla hun tufan-e-bahr-husn
pahlu mein mere aa gae pani ke hausle
us ki nazar ka aks pada meri fikr par
us ne badhae lafz-o-maani ke hausle
muhtaj us ka ho gaya hasti ka saz bhi
ye rang lae soz-e-nihani ke hausle
hum se ab us ke bare mein puchhe na koi kuchh
dekhe hain hum ne raat ki rani ke hausle
bazar-e-dil mein bant di jins-e-giran 'suhail'
yun hum ne tod dale girani ke hausle

27967 viewsghazal • English