dekhna hai kab zamin ko khali kar jata hai din is qadar aata nahin hai jis qadar jata hai din muntashir chaliye ki yun bazar bhar jata to hai mushtahar kije ki phir achchha guzar jata hai din jab zara radd-o-badal hota hai is tamir mein bahar aa jati hai raat andar utar jata hai din din ki apni mustaqil koi nahin tarikh-e-dard zakhm par jata tha aur ab dagh par jata hai din achchhi gunjaish nikal aati hai sham aur shor ki jab khanakte khali insanon se bhar jata hai din jate jate chhod jata hai mere dil par lakir do andheron mein mujhe taqsim kar jata hai din