dekhne ko phul mein mashghul hai

By aarif-nazeerJuly 30, 2024
dekhne ko phul mein mashghul hai
khar daman mein hain sar pe dhul hai
ek to lahja tera hai na-rawa
us pe teri baat na-ma'qul hai


girya-o-matam hai sahab zindagi
muskurana aadmi ki bhul hai
jaane wale log kab ke ja chuke
dhul hai ab rah mein bas dhul hai


hain ghalat ye aap ki khush-fahmiyan
muskurana to mera ma'mul hai
kha gain us ko bhi ye gum-namiyan
chhodiye 'arif' kahan maqbul hai


53115 viewsghazalEnglish