dekhne walon ko kuchh aur dikhaya gaya hai asl jo mal tha wo aise chhupaya gaya hai jaane ke waste diwar banai gai hai rokne ke liye darwaza banaya gaya hai apni aankhon ko bhi pahchan nahin pata hun ek muddat se yahan koi na aaya gaya hai sidhe chalte hain to diwar se takraate hain kaamyabi ka sabaq aisa padhaya gaya hai dil ke ek dagh ko kuchh aise saja ai fankar log samjhen ki yahan phul banaya gaya hai ye jo sab nazren jhukae hue aate hain nazar log andhe nahin aaina dikhaya gaya hai