dekho firaq-e-yar mein jaan kho raha hai wo 'shahzad' ko sambhaalo bahut ro raha hai wo aae nae jo zakhm to ye ruh ne kaha kuchh der baith jao abhi so raha hai wo sahra ki khak haq mein mere kah rahi hai ye jo hona chahta tha wahi ho raha hai wo pahle bhi khali hath tha hai ab bhi khali hath aur kab se bar-e-sud-o-ziyan dho raha hai wo ai aasman tu shukr ada us ka kijiyo be-dil zamin ke sine mein dil ho raha hai wo dekho kahan kise mile 'shahzad' dahr mein hum ne suna hai khud ko kahin kho raha hai wo