dekho usne qadam qadam par sath diya begane ka

By akhtar-lakhnviOctober 24, 2020
dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka
'akhtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka
aaj hamare qadmon mein hai kahkashan shahr-e-mahtab
kal tak log kaha karte the khwab use diwane ka


tere lab-o-rukhsar ke qisse tere qad-o-gesu ki baat
saman hum bhi rakhte hain tanhai mein dil bahlane ka
tum bhi sunte to ro dete hum bhi kahte to rote
jaan ke hum ne chhod diya hai ek hissa afsane ka


kuchh to hai jo apnaya hai hum ne ku-e-malamat ko
waise aur tariqa bhi tha 'akhtar' dil bahlane ka
62417 viewsghazalEnglish