dekhte hi dekhte KHushbu ke paikar mar gae

By mohammad-siddiq-naqviMay 24, 2021
dekhte hi dekhte khushbu ke paikar mar gae
jis jagah sahra ubhar aae samundar mar gae
tut kar milna nahin mumkin hua us shakhs se
dil mein ye rakkhe tamanna apne andar mar gae


nam par mazhab ke khela hai siyasat ne ye khel
fitna-parwar bach gae aur amn-parwar mar gae
manzil-e-maqsud tak jo kar rahe the rahbari
raston ka zahr pi pi kar wo rahbar mar gae


jo tamashai the wo sairab maujon se hue
tishnagi ka dard le kar sab shanawar mar gae
aisi haalat mein bhala kyunkar na hote hum zalil
jin se khuddari thi hum mein aise jauhar mar gae


ek lamhe ke liye bhi wo nahin aaya qarin
aur hum jazbaat ki shiddat se ghut kar mar gae
ab nazar ke samne hai ek viran rahguzar
jo the aankhon mein mere 'naqwi' wo manzar mar gae


53285 viewsghazalEnglish