dete hain dua dard ke mare use kahna

dete hain dua dard ke mare use kahna
palkon se zara bojh utare use kahna

ab koi bhi rut bhati nahin dida-e-dil ko
lagte hain sabhi zahr nazare use kahna

hoti hi nahin hum se mohabbat ki tijarat
is daur mein hain sirf khasare use kahna

mumkin hai mere laut ke aane ka tasawwur
ek bar mujhe dil se pukare use kahna

main rang sajawat ke sabhi bhul chuki hun
ab aa ke mera rup nikhaare use kahna

insan bhi ab sanpon ki fitrat mein dhale hain
har shakhs ajab rup hai dhaare use kahna

bikhre hue apne hi khad-o-khal mein gum hun
aaine mein phir aks sanware use kahna

kahna ki meri mang mein suraj to nahin hai
pahlu mein saja de sabhi tare use kahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close