deti hai wahshat-e-dil fasl-e-bahaaran ki khabar ab kahan wahshiyon ko jaib-o-gareban ki khabar ai nasim-e-sahari sath mera kya degi bagh se nikla to launga bayaban ki khabar chashm-e-pur-fan ne zamane pe kiya wo jadu hosh hai din ka kisi ko na hai iman ki khabar gul pareshani-e-sumbul pe hansa karte hain aur rakhte nahin khud chaak-e-gareban ki khabar gulshan-e-dahr mein rahat bhi hai aur ranj bhi hai deti hai subh-e-watan sham-e-ghariban ki khabar