dhaalta hun sher mein tanhaiyon ko dhundhta hun us mein phir parchhaiyon ko khokhli aankhon se mujh ko ghurti hain dekh kar darta hun main pahnaiyon ko wo burai sab se meri kar rahe hain kyun nahin karte bayan achchhaiyon ko shahr mein to qatl sab ka ho chuka hai bhej do ab dasht mein balwaion ko dil ki bhatti ye na hon to jal hi jae roko mat tum ashk ki purwaiyon ko de rahi hain ek se ek nazzara 'mamun' koste ho kyun tum in tanhaiyon ko