dhaDkan mein nihan ishq ke aazar se pahle

By asrar-akbarabadiJuly 31, 2020
dhadkan mein nihan ishq ke aazar se pahle
ek aur hasin gham hai gham-e-yar se pahle
fitrat ki tamanna ka jo darpan hain wo naghme
gati hain hawaen dil-e-fankar se pahle


mausam ne to baadal ke abhi bandhe hain ghunghru
dil jhum utha hai mera jhankar se pahle
hum apne khayalon mein the kuchh bhi nahin samjhe
maujon mein to halchal si thi manjdhaar se pahle


socha hi tha sajde mein jhuken khud meri aankhen
irfan-e-khuda ho gaya didar se pahle
gar aap ko tarikh samajhni hai hamari
shakh-e-gul-e-tar dekhiye talwar se pahle


baadal bhi banane ka hunar sikh lo 'asrar'
sahra bhi milega rah-e-dil-dar se pahle
32806 viewsghazalEnglish