dhanak dhanak meri poron ke KHwab kar dega

By parveen-shakirNovember 12, 2020
dhanak dhanak meri poron ke khwab kar dega
wo lams mere badan ko gulab kar dega
qaba-e-jism ke har tar se guzarta hua
kiran ka pyar mujhe aaftab kar dega


junun-pasand hai dil aur tujh tak aane mein
badan ko naw lahu ko chanab kar dega
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhut bolega aur la-jawab kar dega


ana-parast hai itna ki baat se pahle
wo uth ke band meri har kitab kar dega
sukut-e-shahr-e-sukhan mein wo phul sa lahja
samaaton ki faza khwab khwab kar dega


isi tarah se agar chahta raha paiham
sukhan-wari mein mujhe intikhab kar dega
meri tarah se koi hai jo zindagi apni
tumhaari yaad ke nam intisab kar dega


70608 viewsghazalEnglish