dharti bhi aasman ke barabar KHarab hai

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
dharti bhi aasman ke barabar kharab hai
chadar hai jaisi waisa hi bistar kharab hai
aagah main charagh jalate hi ho gaya
duniya mere hisab se badh kar kharab hai


bedar bhi ho nind se chaaragar-e-jahan
haalat tere mariz ki yaksar kharab hai
us ke liye hi aaegi aai agar bahaar
wo phul jo ki bagh se bahar kharab hai


nazuk agar nahin hai to shisha hai be-jawaz
bhaari agar nahin hai to patthar kharab hai
duniya-e-purkashish bhi hai har su khadi hui
niyyat bhi aadmi ki sarasar kharab hai


aankhon se ab wo khwab ko nisbat nahin rahi
ek 'umr ho gai ye samundar kharab hai
tarikh se muhaal hai lana misal ka
ye 'ahd apni ruh ke andar kharab hai


ye baat bhi chhupi na rahegi bahut ki main
utna nahin hun jitna muqaddar kharab hai
kuchh hath khwab mein the gareban par mere
ek shab khayal aaya tha ye ghar kharab hai


basne nahin to sair ki khatir chalo 'jamal'
ek aur shahr chand qadam par kharab hai
20376 viewsghazalEnglish