dhoka hai agar aankh mein qatil ki nami hai
By badr-e-alam-khan-azmiJanuary 2, 2024
dhoka hai agar aankh mein qatil ki nami hai
sho'lon pe kahin aaj talak barf jami hai
patton ki sadaen hain ki majbur ka nauha
par mere darakhton se hawa bandh gai hai
ya to meri basti ke sabhi log hain andhe
ya halqa-e-afaq mein suraj ki kami hai
har shakhs hai mahrum yahan fikr-e-rasa se
fitrat mein abhi tak wahi shorida-sari hai
ru-posh nigahon se hai hangama-e-farda
aaina-e-idrak pe bhi gard jami hai
wo quwwat-e-bazu hai na himmat na shuja'at
talwar padi apna hi dam chat rahi hai
kawwon se larazta hai ababil ka lashkar
shahin ki taqdir mein be-baal-o-pari hai
ab wa'iz-o-zahid hain baham dast-o-gareban
ek jang-e-jamal aaj masajid mein chhidi hai
jo randa-e-dargah the wo takht-nashin hain
me'yar-e-faqiri nahin daryuza-gari hai
fir’aun ki aulad gai shams-o-qamar tak
aur aal-e-nabi nil ke sahil pe khadi hai
iblis bhi pani ke liye daud raha hai
lagta hai ki dozakh mein kahin aag lagi hai
sachchai se us shakhs ki derina 'adawat
tarikh ko dimak ki tarah chat rahi hai
aandhi to uda le gai kashana-e-muflis
zalim ki haweli abhi mahfuz khadi hai
sailab jo aaya use sahra ne dabocha
bijli bhi kahin ja ke samundar mein giri hai
ham-saya utha lata hai ghar mein man-o-salwa
par meri ana hai ki mujhe rok rahi hai

96423 viewsghazal • English