dhoka hai us ka jaanib-e-aghyar dekhna
By abrar-abidOctober 23, 2020
dhoka hai us ka jaanib-e-aghyar dekhna
jab hum na hon to rang-e-rukh-e-yar dekhna
tujh se bichhadna yun bhi qayamat se kam na tha
is par tera palat ke wo ek bar dekhna
apne ghamon ka bojh utha apne dosh par
tauhin-e-gham hai jaanib-e-gham-khwar dekhna
wo shakl ek khwab thi aur khwab khwab hai
kab tak ye khwab dida-e-bedar dekhna
rahte hain shahr-e-sang mein shishe ka dil liye
logo hamara jazba-e-isar dekhna
'abid' qadam to maqtal-e-fan ki taraf badha
kitne hain tere sar ke talabgar dekhna

71405 viewsghazal • English