dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar wo rashk ye tha ki ghair se tuk hansa tha chanchal misi laga kar faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar khiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklen kai adaen qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uthana to dagmaga kar latak mein bandon ki dil jo aawe to khair bande hi us ko le len wagarna aawe to phir na chhode udhar se baala jhamak dikha kar majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar ladawe magar kisi ne jo us ko dekha to sau kharabi se chhup chhupa kar sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhidak ke us ko ye saf kah de to kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar 'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz wagar mila to khuda hai hafiz bache hain hum bhi khuda khuda kar