dhuan uDati hui dhimi dhimi barish hai

By yasmeen-saharNovember 27, 2020
dhuan udati hui dhimi dhimi barish hai
hawa ki andhi sawari pe andhi barish hai
hamare ganw ke raston ki kachchi mitti par
phisal rahe hain qadam kitni gandi barish hai


zara si khol ke khidki nazar to daudao
dikhai deti nahin achchhi-khasi barish hai
nikalte waqt uthai nahin gai chhatri
meri saheli mujhe kah rahi thi barish hai


hamare aane mein takhir ho bhi sakti hai
ye dekh kar yahi lagta hai jitni barish hai
muzakaraat zamin kar rahi hai dhup ke sath
kahin pe dekhi suni tum ne itni barish hai


tamam sabz ruten aa ke kar rahi hain salam
hamare shahr mein mausam ki pahli barish hai
thithurte pani mein sanson ka nam milate hue
nadi mein chand ke ham-rah nahati barish hai


nami usi ki mili hai mahakte phulon ko
kiran kiran mein ghuli jo gulabi barish hai
main film ke kisi manzar pe baat kar rahi hun
dikhai ja rahi jis mein barasti barish hai


tamam khwab mere mil gae hain mitti mein
tamam shab meri aankhon mein jagi barish hai
hawa ki shah pe hi phirti hai dandanati hui
hamare chaaron taraf sar-phiri si barish hai


main gadi rok ke selfi bana rahi hun 'sahar'
magar abhi bhi yahan halki halki barish hai
56804 viewsghazalEnglish