dhul miTTi gard ne suni faza aabaad ki

By najma-saqibJanuary 7, 2021
dhul mitti gard ne suni faza aabaad ki
khak par kunji dhari thi khana-e-barbaad ki
sar-nigun mehrab ye tuti munderen baam-o-dar
taq mein phaili hui sargoshiyan ajdad ki


main nahin pahuncha to tere naqsh-e-pa ne der tak
rah ke patthar se sukhi ghas se fariyaad ki
dhundhta phirta hai aksar yaad ki galiyon mein dil
unghti jamuna kinare sham allahabad ki


zakhm risne lag gaya jab khun aaluda kadi
qaidiyon ne halqa-e-zanjir se aazad ki
34819 viewsghazalEnglish