dhund leti hain koi mahtab sa manzar kahin jagti rahti hain aankhen khwab ke andar kahin dal lete hain bhala zanjir-e-ishrat panw mein tan kar chalte hain sar par dard ki chadar kahin is khayal-e-naz mein hota hai shab bhar jagna ek kaif-e-hijr mein hoga mera bistar kahin dil ke andar chupke chupke jagti hai be-kali shor karti hain hawaen jism ke bahar kahin aankh mein bedariyon ki dhul girti jaegi aasman sar par uthaenge mah-o-akhtar kahin har sada-e-naghma hai aawaza-e-mahshar mujhe dil larazta hai badal jae na ye manzar kahin