DhunDa teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun

By inam-durraniOctober 31, 2020
dhunda teri zulf ka saya bhul hui sharminda hun
pyasa man tha dhoka khaya bhul hui sharminda hun
shahr ki raushan rahon mein bhi teri banhen yaad aain
khud ko tanha tanha paya bhul hui sharminda hun


shahr-e-wafa ke sare raste teri jaanib hi nikle
ya phir main ne hosh ganwaya bhul hui sharminda hun
kaise kaise maqnatisi rup saje the raste mein
laut ke tere pas hi aaya bhul hui sharminda hun


jaise koi ziddi bachcha roka jae magar na aae
tere dar ko des banaya bhul hui sharminda hun
is duniya mein aur bhi gham the mithe mithe dard bhare
gham tera hi chaha paya bhul hui sharminda hun


beganon ne pyar diya to hum ne daman khinch liya
apnon se hi rabt badhaya bhul hui sharminda hun
jis mahaul ke tapte mausam dukh hi dete the 'inam'
us par bhi sawan barsaya bhul hui sharminda hun


27408 viewsghazalEnglish