DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain

By yasin-ali-khan-markazNovember 26, 2020
dhundh hum un ko pareshan bane baithe hain
wo to parda liye insan bane baithe hain
zauq hasil unhen hota hai har yak surat se
rang-o-be-rangi se har aan bane baithe hain


chhod masjid ko gae dair mein puja karne
the musalman wo rahban bane baithe hain
baat ye hai ki hayula se hai surat paida
har yak ajsam mein rahman bane baithe hain


taza har aan dikhate hain wo jalwa apna
har tayyun ke liye shan bane baithe hain
hain masiha kahin bimar kahin dard kahin
har tarah se wahi darman bane baithe hain


wahi hota hai har yak kaam jo wo chahte hain
dete hasrat bhi hain arman bane baithe hain
kufr-o-islam ke parde se hain har haal mein khush
wajib aaina se imkan bane baithe hain


sach to ye hai ki haqiqat jo hai un ki malum
jaante jo hain wo anjaan bane baithe hain
jumla adwar o shayunat se jalwa karte
shan-e-'markaz' mein wo subhan bane baithe hain


79962 viewsghazalEnglish