dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai

By mariyam-fatimaMay 17, 2022
dhundli dhundli yaadon mein ek raushan raushan chehra hai
jaana-pahchana lagta hai shayad koi apna hai
bikhre bikhre lamhon mein ek aisa bhi to lamha hai
girte girte raste par jab us ne mujh ko thama hai


moti jaisi pyari aankhen lekin in mein aansu kyon
furqat apni chand roza hai hum ko to phir milna hai
kitne nadan the hum donon duniya se lad padte the
waqt ne lekin yaad dilaya duniya mein hi rahna hai


dil ke tute darwaze par phir ehsas ne dastak di
raat ke kale aanchal mein phir koi tara chamka hai
thande thande chand ke tukde uthle uthle dariya mein
nile pile charkh-e-barin par suraj jalta bujhta hai


chand sitare phul ujale titli kaliyan rang hazar
mera paikar to lagta hai ek taswir ka hissa hai
kaisi achchhi dhup khili hai mere ujde aangan mein
aakhiri rukhsat lene shayad mere ghar wo aaya hai


tu ne to israr kiya tha mujh se ab wo rabt nahin
jate jate phir kyon tu ne mujh ko mud kar dekha hai
us ke mere bich mein hail ek lakir na-dida hai
jis ke aage panw badhana na-mumkin sa lagta hai


99768 viewsghazalEnglish