dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga

By saghar-azmiNovember 15, 2020
dhup mein gham ki mere sath jo aaya hoga
wo koi aur nahin mera hi saya hoga
ye jo diwar pe kuchh naqsh hain dhundle dhundle
us ne likh likh ke mera nam mitaya hoga


jin ke honton pe tabassum hai magar aankh hai nam
us ne gham apna zamane se chhupaya hoga
be-talluq si faza hogi rah-e-ghurbat mein
koi apna hi milega na paraya hoga


itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka
us ke hathon se kabhi phul bhi aaya hoga
meri hi tarah mere sher hain ruswa 'saghar'
kis ko is tarah mohabbat ne sunaya hoga


50950 viewsghazalEnglish