dhup thi saeban tha hi nahin mera koi makan tha hi nahin main jahan ja ke laut aaya hun us ke aage jahan tha hi nahin tum mujhe chhod bhi to sakte ho ye to mujh ko guman tha hi nahin aap roe the kyon bichhadte hue kuchh agar darmiyan tha hi nahin kaise mushkil ka samna karte hausla jab chatan tha hi nahin waqt itna bura bhi aaega ye kisi ko guman tha hi nahin haal-e-dil kis ke samne rakhte jab koi mehrban tha hi nahin is zamane ne kar diya patthar warna main sakht-jaan tha hi nahin us pe sab kuchh luta diya 'aqib' jo mera qadr-dan tha hi nahin