dhyan haalanki us ka ghaDi bhar gaya

By nand-kishore-anhadFebruary 27, 2024
dhyan haalanki us ka ghadi bhar gaya
tha abhi zakhm taza abhi bhar gaya
kis ne puri kari tum mein meri kami
kaun mujh mein tumhaari kami bhar gaya


ek disha to dikhata gaya kam se kam
wo jo kase se dast-e-tahi bhar gaya
khamushi ne sahi kan khole mere
bahen khali huin ya'ni ji bhar gaya


main ye samjha yahi hai rihai meri
bediyon mein jo wo ek kadi bhar gaya
46914 viewsghazalEnglish