dikha kar mujhko chashm-e-mast mastana bana Dala

By aafaq-banarasiAugust 13, 2024
dikha kar mujh ko chashm-e-mast mastana bana dala
pila kar aaj saqi tu ne diwana bana dala
qiyam-e-yaad-e-khuban ko taraqqi de khuda is ne
mere ujde hue dil ko pari-khana bana dala


dil-e-sad-chaak mera tha bhala kis kaam ke qabil
magar ek shokh ne le kar ise shana bana dala
zarar pahuncha na mai-khane ko kuchh sang-e-hawadis se
agar tuti koi botal to paimana bana dala


ghazab jadu bhari hoti hain aankhen husn walon ki
nazar jis se milai us ko diwana bana dala
tamanna wasl ki dil se jo nikli ye khayal aaya
ki ek aabaad ghar ko hae virana bana dala


wo mai-kash hun ki har dam shisha-o-saghar hai sath apne
jahan baitha wahin par ek mai-khana bana dala
khayal-e-bada-noshi furqat-e-saqi mein jab aaya
banaya dil ko khum aankhon ko paimana bana dala


khuda ke fazl se 'afaq' tha farzana-o-‘aqil
nawazish ki buton ne us ko diwana bana dala
75974 viewsghazalEnglish