dikha raha hai anguTha falak se tara mujhe

dikha raha hai angutha falak se tara mujhe
dhakel de na bulandi se phir dobara mujhe

mere siwa bhi koi qaid hai kharabe mein
ajib taur se wo raat-bhar pukara mujhe

mere khilaf khada ho gaya hai kaun aakhir
jo rup dhaar ke mera hi tir mara mujhe

kiya jab us ne tah-e-ab meri kashti ko
samajh mein baat nahin aai kyon ubhaara mujhe

abhi samet raha hun main dhajjiyan apni
na jao chhod ke aise mein be-sahaara mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close