dil agar daghdar ho jata ek sarapa bahaar ho jata daman-e-sabr hijr ke hathon kyun na yun tar-tar ho jata wae majburiyan mohabbat ki zabt par ikhtiyar ho jata main ne yun shikwa-e-jafa na kiya wo agar sharmsar ho jata pas hota agar wo jaan-e-bahaar be-niyaz-e-bahaar ho jata ek nigah-e-karam jo ho jati phir to beda hi par ho jata un ki tirchhi nazar ka kya kahna jis pe padti shikar ho jata un nigahon ki mastiyan tauba mai-kada sharmsar ho jata pyar karte hain wo jinhen 'shankar' kash un mein shumar ho jata