dil aur kahin par hai to sar aur kahin par wo sajda nahin dagh hai daman-e-zamin par qurban teri han pe tasadduq hun nahin par sarmaya-e-hasti ko lutata hun yahin par naqsh-e-qadam-e-yar numayan hai jabin par shak hone laga ab to mere mazhab-o-din par hai sajda-e-ikhlas ka adna sa karishma main farsh-e-zamin par hun to sar arsh-e-barin par taswir 'musawwir' ne jo khinchi hai kisi ki huren na utar aaen pa-e-did zamin par