dil de raha tha jo use be-dil bana diya aasan kaam aap ne mushkil bana diya har sans ek shoala hai har shoala ek barq kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil bana diya is husn-e-zan pe ham-safaron ke hun pa-ba-gil mujh be-khabar ko rahbar-e-manzil bana diya andha hai shauq phir nazar imkan par ho kyun kaam apna dil ne aap hi mushkil bana diya dauda lahu ragon mein bandhi zindagi ki aas ye bhi bura nahin hai jo bismil bana diya gharq o ubur donon ka hasil hai khatm-e-kar majburiyon ne mauj ko sahil bana diya us shan-e-ajizi ke fida jis ne 'arzu' har naz har ghurur ke qabil bana diya