dil-e-bad-guman ke tawahhumat ajib hain

By neelam-malikNovember 11, 2020
dil-e-bad-guman ke tawahhumat ajib hain
mere nam ke ye huruf sat ajib hain
na takhaiyyulat giraft-e-harf mein aa sake
ye nuzul-e-sher ki mushkilat ajib hain


tu talash kar koi aur ilaj-e-dil-e-hazin
ki dawa-e-ishq ke muzmiraat ajib hain
tere fikr ke bhi hain zawiye sabhi munfarid
teri guftugu ki sabhi jihat ajib hain


ek anokhe dard ke pad rahe hain bhanwar yahan
abhi bahr-e-gham mein tamawwujat ajib hain
na faqih koi samajh saka na hi to sanam
ki khuda se mere muamalat ajib hain


sabhi manzaron ko ye dam-ba-khud hain kiye hue
ye teri nazar ke tahayyuraat ajib hain
teri tishnagi isi dast-e-zad ki muntazir
dil-e-khush-guman teri khwahishat ajib hain


58251 viewsghazalEnglish