dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin
By zahida-zaidiNovember 29, 2020
dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin
nigah-e-shauq ko ab tab-e-intizar nahin
nahin nahin mujhe bardasht ab nahin ki nahin
khuda ke waste kahna na ab ki bar nahin
hamesha wade kiye ab ke mil hi ja aa kar
hayat-o-wada-o-duniya ka eatibar nahin
dikhati apni mohabbat ko chir kar sina
magar numud mera shewa-o-shiar nahin
meri bahan meri mahbuba ye ajab shai hai
jahan mein khak nahin kuchh jo dost-war nahin

76545 viewsghazal • English