dil-e-gharib kahan paega nishan apna luta ke shahr-e-nigaran mein karwan apna harim-e-naz se karb-o-alam ke zindan tak kahan kahan na hua khun raegan apna khuda ka shukr baja lao sokhta jaano zamin dost se kam-tar hai aasman apna dil-o-nigah ke sajdon ki baat kar waiz jabin-e-shauq ko hasil hai aastan apna kuchh aur zabt se le kaam ai dil-e-nadan mila hua hai raqibon se raaz-dan apna gila bhi un ke sitam ka na kar sake 'shahid' hazar bar liya hum ne imtihan apna