dil-e-nadan mera hai be-taqsir
By siraj-aurangabadiNovember 21, 2020
dil-e-nadan mera hai be-taqsir
zabh karte ho us kun be-takbir
naqsh-e-diwar sehn-e-gulshan hai
jis ne dekha hai yar ki taswir
aashiqon kun nahin hai ruswai
mushaf-e-ishq ki hai ye tafsir
gardish-e-chashm-e-yar beja nahin
dil ke lene ki hai use tadbir
bul-hawas kab talak rahe aazad
khol sayyaad zulf ki zanjir
jaanti hai wo zulf-e-uqda-kusha
mere aashufta khwab ki tabir
shab-e-hijran mein ai 'siraj' mujhe
ashk hai shama aur palak gul-gir
zabh karte ho us kun be-takbir
naqsh-e-diwar sehn-e-gulshan hai
jis ne dekha hai yar ki taswir
aashiqon kun nahin hai ruswai
mushaf-e-ishq ki hai ye tafsir
gardish-e-chashm-e-yar beja nahin
dil ke lene ki hai use tadbir
bul-hawas kab talak rahe aazad
khol sayyaad zulf ki zanjir
jaanti hai wo zulf-e-uqda-kusha
mere aashufta khwab ki tabir
shab-e-hijran mein ai 'siraj' mujhe
ashk hai shama aur palak gul-gir
26977 viewsghazal • English