dil-e-shikasta ko rangon se phir sajata nur

By ajmal-siddiquiNovember 11, 2024
dil-e-shikasta ko rangon se phir sajata nur
tere khayal ki chilman se chhan ke aata nur
ye dikh rahi hain jo taswir mein tumhein aankhen
jo dekhte meri nazron se to dikhata nur


kabhi nazar ki taraf dekhta hai khud manzar
kabhi nazar pe fida hone khud hai aata nur
wo mera ho ki na ho kya gharaz mujhe is se
hawas charagh ki tum ko mujhe hai bhata nur


so tang aa ke sawalon se le liya tera nam
mere charagh main kis kis se ab chhupata nur
mila na tu mujhe jab thi dil-o-nazar ki hayat
main dil ke shishe mein bhar kar tujhe pilata nur


hazar manzar-e-khush-rang subh lai to hai
hazar khwab bhi bichhde hain az-duja ta-nur
15384 viewsghazalEnglish