dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga dur-uftada zaminon ki masafat dunga apne atraf naya shahr basaunga kabhi aur ek shakhs ko phir us ki hukumat dunga ek diya nind ki aaghosh mein jalta hai kahin silsila khwab ka tute to bashaarat dunga qissa-e-sud-o-ziyan waqf-e-mudaraat hua phir kisi roz mulaqat ki zahmat dunga main ne jo likh diya wo khud hai gawahi apni jo nahin likkha abhi us ki bashaarat dunga ek safha kahin tarikh mein khali hai abhi aakhiri jang se pahle tumhein mohlat dunga