dil gaya shokhi-e-guftar kahan se laun ab wo pairaya-e-izhaar kahan se laun qissa-e-gardish-e-dauran se abhi hosh nahin dastan-e-lab-o-rukhsar kahan se laun iltija ke liye apnon se takalluf hai mujhe shewa-e-minnat-e-aghyar kahan se laun shirkat-e-ghair mohabbat mein gawara kar lun is qadar jazba-e-isar kahan se laun aatish-e-hijr ke tapte hue sahraon mein rahat-e-saya-e-diwar kahan se laun tu hai nazdik-e-rag-e-jaan magar ai husn-e-tamam tera jalwa tera didar kahan se laun 'bazm' mohlat nahin dete mujhe afkar-e-jahan fursat-e-kasrat-e-ashaar kahan se laun