dil gaya tum ne liya hum kya karen jaane wali chiz ka gham kya karen hum ne mar kar hijr mein pai shifa aise achchhon ka wo matam kya karen apne hi gham se nahin milti najat is bina par fikr-e-alam kya karen ek saghar par hai apni zindagi rafta rafta is se bhi kam kya karen kar chuke sab apni apni hikmaten dam nikalta ho to hamdam kya karen dil ne sikha shewa-e-beganagi aise na-mahram ko mahram kya karen marka hai aaj husn o ishq ka dekhiye wo kya karen hum kya karen aaina hai aur wo hain dekhiye faisla donon ye baham kya karen aadmi hona bahut dushwar hai phir farishte hirs-e-adam kya karen tund-khu hai kab sune wo dil ki baat aur bhi barham ko barham kya karen hyderabad aur langar yaad hai ab ke dilli mein moharram kya karen kahte hain ahl-e-sifarish mujh se 'dagh' teri qismat hai buri hum kya karen