dil gham se bhi bezar hai malum nahin kyon ye aish bhi ab yar hai malum nahin kyon aalam hama dildar hai malum nahin kyon jo gham hai gham-e-yar hai malum nahin kyon ab husn bhi kuchh samne aane mein hai mohtat ab ishq bhi khuddar hai malum nahin kyon wo ishq jo har jalwa-e-rangin pe fida hai khud apna talabgar hai malum nahin kyon kuchh roz se wo 'kaif' jo ek gosha-nashin tha ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyon