dil hai aur KHud nagri zauq-e-dua jis ko kahen

By ijtiba-rizviOctober 31, 2020
dil hai aur khud nagri zauq-e-dua jis ko kahen
be-khudi chahiye hum ko ki khuda jis ko kahen
hum se aabaad hai duniya-e-tasawwur to kya
ki nahin ek wo taswir khuda jis ko kahen


jurat-e-shauq hai kahte hain mohabbat jis ko
usi jurat pe hai israr-e-wafa jis ko kahen
samajh ai dost use zarb-e-nazar ki aawaz
hum kabhi dil ke dhadakne ki sada jis ko kahen


qulzum-e-dil na hua aaina-saman ai dost
abhi aa jati hai ek mauj-e-dua jis ko kahen
hai tere kisa-e-pindar mein aisi koi chiz
dil ki betab mohabbat ka sila jis ko kahen


46347 viewsghazalEnglish