dil hai badi khushi se ise paemal kar lekin tere nisar zara dekh-bhaal kar itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi le aae e'tibar ke sanche mein dhaal kar saqi mere khulus ki shiddat ko dekhna phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko tal kar ai dost teri zulf-e-pareshan ki khair ho meri tabahiyon ka na itna khayal kar aaya hun yun bacha ke hawadis se zist ko late hain jaise koh se chashma nikal kar thode se fasle mein bhi hael hain laghzishen saqi sambhaal kar mere saqi sambhaal kar hum se 'adam' chhupao to khud bhi na pi sako rakkha hai tum ne kuchh to surahi mein dal kar