dil hai ek hi lekin nam-e-dil badalta hai

By shahid-siddiquiMay 21, 2021
dil hai ek hi lekin nam-e-dil badalta hai
saj gaya to gulshan hai lut gaya to sahra hai
mera dard-e-mahrumi ek naya taqaza hai
ishq raegan kyon ho tum nahin to duniya hai


husn hai bahaaren hain shauq hai tamasha hai
aashiqi ki nisbat se zindagi gawara hai
dard-o-gham ki rahon mein sath chhodna kaisa
dur tak chale aao dur tak andhera hai


kal tere tasawwur ne mahfilen sajai thin
aaj dil ki duniya mein teri yaad tanha hai
zulmaton ka rona kya ahl-e-karwan hoshyar
us taraf hain rahzan bhi jis taraf ujala hai


raushni mein dhalti hai dil ke khun ki surkhi
tab kahin sar-e-mizhgan ek charagh jalta hai
gard-e-rah-e-insan hain mah-o-kahkashan 'shahid'
justuju-e-paiham ka hashr kis ne dekha hai


57039 viewsghazalEnglish