dil jaanib-e-yazid tera KHam na ho kahin
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
dil jaanib-e-yazid tera kham na ho kahin
matam barae-rasm hi matam na ho kahin
wo hans raha hai meri tarah baat baat par
meri tarah use bhi koi gham na ho kahin
barham ki jitna gesu-e-khamdar-e-yar hai
utna mizaj-e-yar bhi barham na ho kahin
ahl-e-khirad ki nind mein padne laga khalal
ahl-e-junun ka raqs-e-damadam na ho kahin
aaj aae hain wo dekhne zakhm-e-jigar mera
darta hun un ke hath mein marham na ho kahin
itna ziyaada khush jo nazar aa raha hun main
ye bhi hasin khwab ka 'alam na ho kahin
apnon ke darmiyan hai khatra bana hua
phulon ke darmiyan koi bam na ho kahin
duniya se kyon uchat hua tera dil 'kamal'
tu bhi nae zamane ka gautam na ho kahin

88554 viewsghazal • English