dil jalane se kahan dur andhera hoga raat ye wo hai ki mushkil se sawera hoga kyun na ab waz-e-junun tark karen laut chalen us se aage jo hai jangal wo ghanera hoga ye zaruri to nahin itna bhi khush-fahm na ban wo zamana jo na mera hai na tera hoga itna bhi sang-e-malamat se dara mat naseh sar salamat hai to is shahr ka phera hoga khidmat-e-raj-mahal par unhen dekha mamur jo ye kahte the ki sardar basera hoga rah-e-pur-pech ko sahl itna batane wala rahbar ho nahin sakta hai lutera hoga wo bhi insan hai ai dil use ilzam na de jaane us ko bhi kin aafat ne ghera hoga