dil kar raha hai kyon nigah-e-yar ki talash bimar ko bhi hoti hai bimar ki talash ab tir ki talash na talwar ki talash dil ko faqat hai abru-e-khamdar ki talash jalwe ko phir hai madd-e-nazar imtihan-e-hosh phir tur ko hai talib-e-didar ki talash tere khayal tere tasawwur ke samne bimar-e-ishq ko nahin gham-khwar ki talash chhaegi hashr mein jo ghata lutf-e-am ki rahmat karegi khud hi gunahgar ki talash talwon ko mere dasht-nawardi ki aarzu aur aablon ko wadi-e-pur-khar ki talash 'muztar' kisi ki dil hi mein karni thi justuju dair-o-haram mein aap ne bekar ki talash