dil ke andar dard aankhon mein nami ban jaiye is tarah miliye ki juzw-e-zindagi ban jaiye ek patinge ne ye apne raqs-e-akhir mein kaha raushni ke sath rahiye raushni ban jaiye jis tarah dariya bujha sakte nahin sahra ki pyas apne andar ek aisi tishnagi ban jaiye dewta banne ki hasrat mein muallaq ho gae ab zara niche utariye aadmi ban jaiye aql-e-kul ban kar to duniya ki haqiqat dekh li dil ye kahta hai ki ab diwangi ban jaiye jis tarah khali anguthi ko nagina chahiye aalam-e-imkan mein ek aisi kami ban jaiye aalam-e-kasrat nihan hai is ikai mein 'salim' khud mein khud ko jama kije aur kai ban jaiye