dil ke ehsas mein bhi jaan to ho sakti hai

By kunaal-barkadeFebruary 27, 2024
dil ke ehsas mein bhi jaan to ho sakti hai
gar banaen ghazal insan to ho sakti hai
ye ladai hai mohabbat ki jo nafrat se yahan
ek qalam jang ka saman to ho sakti hai


ungliyan meri musalsal jahan chalti jaen
teri ye zulf wo maidan to ho sakti hai
na ho aabaad magar husn badhane ke liye
shahr-e-dil ki gali viran to ho sakti hai


auron ke nam se bhi sahib-e-diwan hon par
mere me'yar ki pahchan to ho sakti hai
shahriyat milni nahin pyar ko us ke dil mein
kuchh dinon ke liye mehman to ho sakti hai


dard ki mere dawa to na banai kisi ne
kuchh madad 'mir' ka diwan to ho sakti hai
37045 viewsghazalEnglish